Saturday, 4 February 2017

PANI KA BAYAAN


      🎆 PANI KA BAYAAN 🎆


ALLAH عَزَّوْجَلْ Farmaate Hain
AASMAAN SE HAMNE PAAK KARNE WALA PANI UTARA

Aur Farmata Hai Aasmaan Se Hamne  Tumpar Pani Utara Hai Ki Tumhe Isse Paak Kare Aur Shaitaan Ki Paleedi Tumse Door Kare

📓Hadees:

Imam Maalik Wa Abu Dawood Tirmizi Abu Horaira رَضِىَ اللّٰهُ تَعالٰى عَنْه Se Rawi, Ki Ek Shakhs Ne Rasoolullah ﷺ Se Puchha Ki Ham Dariya Ka Safar Karte Hain Aur Apne Saath Thoda Sa Paani Le Jaate Hain To Isse Wazu Karenge To Pyaase Rah Jayen,
 To Kya Samundar Ke Paani Se Ham Wazu Karen
FARMAYA::Uska Paani Paak Hai Aur Uska Janwar(Machhli) Mari Hui Halal.

KIS PAANI SE WAZU JAYEZ HAI AUR KISSE NAHIN

TANBIYA ➡Jis Paani Se Wazu Jayez Hai Usse Gusl Bhi Aur Jis Paani Se Wazu Na Jayez Hai Us Paani Se Gusl Bhi Na Jayez

📃 Mas'ala (1)

Menh, Nadi, Naale, Chasme, Samundar, Dariya, Kuaan(कूआँ), Barf Aur Ole Ke Paani Se Wazu Wa Gusl Jayez hai.

📃 Mas'ala (2)

Jis Paani Me Koi Cheez Mil Gayi Ki Bol Chaal Me Use Paani Na Kahen Balki Uska Koi Aur Naam Ho Gaya Jaise Sharbat Ya Paani Me Koi Aisi Cheez Daalkar Pakayen Jisse Maqsood Meel Kaatna Na Ho.
Jaise Shorba, Chaye, Gulaab Ya Aur Arq Usse Wazu Aur Gusl Jayez Nahin.

📃 Mas'ala (3)

Agar Aisi Cheez Milayen Ya Milakar Pakayen Jisse Maqsood Meel Kaatna Ho Jaise Saabun Ya Beri Ke Patte To Wazu Jayez Hai Jab Tak Uski Raqt Zayel Na Kar De Aur Agar Sattu Ki Misl Gaarha Ho Gaya To Wazu Aur Gusl Jayez Nahin.

📃 Mas'ala (4)

Agar Pani Me Koi Paak Cheez Mili Jisse Rang Ya Bou Ya Maze Me Farq Aa Gaya Magar Paani Ka Patlaapan Na Gaya Jaise Retaa, Chunaa Ya Thodi Zaafraan To Wazu Jayez Hai. Aur Agar Zaafraan Ka Rang Itna Aa Jaaye Ki Kapda Rangne Ke Qabil Ho Jaaye To Wazu Jayez Nahin. Agar Itna Doodh Mil Gaya Ki Doodh Ka Rang Gaalib Na Hua To Wazu Jayez Hai Varna Nahin.

📃 Mas'ala (5)

Bahta Paani Ki Usme Tinka Daal Dein To Baha Le Jaaye Paak Aur Paak Karne Wala Paani Hai, Najasat Padne Se Na'paak Na Ho Ga Jab Tak Wah Najasat Uske Rang Ya Bou Ya Maze Ko Na Badal De.  Agar Najasat Cheez Se Rang Ya Bou Ya Maza Badal Gaya To Napaak Ho Gaya. Ab Ye Paani Us Waqt Paak Hoga Ki Najasat Tahe Nasheen Hokar Uske Ausaaf Theek Ho Jayein.  Ya Paak Paani Itna Mile Ki Paak Paani Ko Baha Le Jaaye. Ya Paani Ke Rang, Maza, Bou Theek Ho Jaayein Aur Agar Paak Cheez Ne Rang, Maza, Bou Ko Badal Diya To Wazu Aur Gusl Usse Jayez Hai Jab Tak Cheez Deegar Na Ho Jaaye.

📃 Mas'ala (6)

Naaliyon Se Barsaat Ka Bahta Paani Paak Hai Jab Tak Najasat Ka Rang Ya Bou Ya Maza Usme Zaahir Na Ho

📃 Mas'ala (7)

Naali Ka Paani Ki Baad Barish Thahar Gaya Agar Usme Najasat Ke Ajzaa Mahsoos Hon Ya Uska Rang Ya Bou Mahsoos Ho To Napaak Hai Varna Paak.

📃 Mas'ala (8)

10 Haath Lamba 10 Haath Chauda Jo Hauz Ho Use Dah Dar Dah Aur Bada Hauz Kahte Hain You'n Hi 20 Haath Lamba 5 Haath Chauda Ya 25 Haath Lamba 4 Haath Chauda. Garz Kul Lambaai Chaudaai 100 Haath Ho.



🌟 Tambiya:

Hauz Ke Bade Chhote Hone Me Khud Us Hauz Ki Paimaaish Ka Aitbaar Nahin, Balki Usme Jo Paani Hai Uski Baalaai Satah Dekhi Jayegi To Agar Hauz Bada Hai To Paani Kam Hokar Dah Dar Dah Na Raha To Is Haalat Me Bada Hauz Nahin Kaha Jayega, Nez Hauz Usiko Nahin Kahenge Jo Masjido, Eid Gaahon Me Bana Liye Jaate Hain Balki Har Wo Gadha Jiski Paimaaish 100 Haath Hai Bada Hauz Hai Aur Isse Kam Hai To Chhota.

📃 Mas'ala (9)

Dah Dar Dah Hauz Me Sirf Itna Dal Darkaar Hai Ki Itni Masahat Me Zameen Kahin Se Khuli Ho Aur Ye Jo Bahut Kitabon Me Farmaya Hai Ki Lap Ya Chullu Me Paani Lene Se Zameen Na Khule Uski Hajat Uske Kaseer Rahne Ke Liye Hai Ki Waqte Istemaal Agar Paani Uthane Se Zameen Khul Gayi To Us Waqt Paani 100 Haath Ki Masahat Me Na Raha Aise Hauz Ka Paani Bahte Paani Ke Hukm Me Hai Najasat Padne Se Napaak Na Hoga Jabtak Najasat Se Bou Ya Rang Ya Maza Na Badle Aur Aisa Hauz Agarcha Najasat Padne Se Najs Na Hoga Magar Qasdan Usme Najasat Daalna Mana Hai.

📃 Mas'ala (10)

Bade Hauz Ke Najs Na Hone Ki Ye Shart Hai Ki Uska Paani Mutassil Ho, To Aise Hauz Me Agar Laththe Ya Kadiyaan Gaadi Gayi Ho To Un Laththon, Kadiyon Ke Alawa Baqi Jagah Agar 100 Haath Hai To Bada Hai Varna Nahin Albatta Patli Patli Cheezen Jaise Ghaas, Narkul, Kheti.

📃 Mas'ala (11)

Bade Hauz Me Aisi Najasat Padi Ki Dikhaai Na De Jaise Sharab, Peshaab To Uski Har Jaanib Se Wazu Jayez Hai Aur Agar Dekhne Me Aati Ho Jaise Pakhana Ya Koi Mara Hua Janwar To Jis Taraf Wah Najasat Hai Us Taraf Wazu Na Karna Behter Hai Dosri Taraf Se Wazu Kare.

🔅 Tambiya

jo Najasat Dikhai Deti Hai Usko Mar'iya Aur Jo Nahin Dikhai Deti Hai Use Gair Mar'iya Kahte Hain.

📃 Mas'ala (12)

Aise Hauz Par Agar Bahut Se Log Jama Hokar Wazu Karein To Bhi Kuchh Haraj Nahin Agarcha Wazu Ka Paani Usme Girta Ho. Ha Usme Kulli Karna Aur Naak Seenkna Na Chahiye Ki Nazafat Ke Khilaaf Hai.

📃 Mas'ala (13)

Taalaab Ya Bada Hauz Upar Se Jam Gaya Magar Barf Ke Niche Paani Ki Lambaai Chauraai Mutassil Baqadre Dah Dar Dah Hai Aur Suraakh Karke Usse Wazu Kiya Jayez Hai. Agarcha Usme Najasat Pad Jaye Aur Agar Mutassil Dah Dar Dah Nahin Aur Usme Najasat Padi To Napaak Hai.


📃 Mas'ala (14)

Agar Taalaabe Khushk Me Najasat Padi Aur Menh(Baarish) Barsa Aur Usme Bahta Hua Paak Paani Is Qadar Aya Ki Bahaao Rukne Se Pahle Dah Dar Dah Ho Gaya To Wah Paani Paak Hai Aur Agar Us Menh(Baarish) Se Dah Dar Dah Se Kam Raha Dobara Baarish Se Dah Dar Dah Hua To Saaraa Paani Najs Hai. Haa Agar Wah Bhar Ke Bah Jaaye To Paak Hai Agarcha Ek Haath Do Haath Baha Ho.


📃 Mas'ala (15)

Dah Dar Dah Paani Me Najasat Padi Aur Phir Uska Paani Dah Dar Dah Se Kam Ho Gaya To Wo Ab Bhi Paak Hai. Ha Agar Wo Najasat Ab Bhi Usme Baaqi Ho Aur Dikhaai Deti Ho To Ab Napaak Ho Gaya. Ab Jabtak Bhar Kar Bah Na Jaaye Paak Na Hoga.

📃 Mas'ala (16)

Chhota Hauz Napaak Ho Gaya Phir Uska Paani Fail Kar Dah Dar Dah Ho Gaya To Ab Bhi Napaak Hai Magar Paak Paani Agar Use Baha De To Paak Ho Jayega.

📃 Mas'ala (17)

Koi Hauz Aisa Hai Ki Upar Se Tang Aur Neeche Se Kashada Hai Yaani Upar Dah Dar Dah Nahin Aur Neeche Dah Dar Dah Yaa Zyadah Hai. Agar Aisa Hauz Labrez Hua Aur Najasat Pade To Napaak Hai Phir Uska Paani Ghat Gaya Aur Wah Dah Dar Dah Ho Gaya To Paak Ho Gaya.


📃 Mas'ala (18)

Agar Haath Dhula Hua Hai Magar Phir Dhone Ki Niyat Se Dala Aur Ye Dhona Sawab Ka Kaam Ho Jaise Khane Ke Liye Ya Wazu Ke Liye To Ye Paani Musta'amal Ho Gaya Yaani Wazu Ke Kaam Ka Na Raha Aur Isko Peena Bhi Makrooh Hai.

📃 Mas'ala (19)

BA'ZAROORAT HAATH PAANI ME DAALA JAISE PAANI BADE BARTAN ME HAI KI USE JHUKA NAHIN SAKTE NA KOI CHHOTA BARTAN HAI KI USSE PAANI NIKALE TO AISI SURAT ME BAQADRE ZAROORAT HAATH PAANI ME DAAL KAR USSE NIKALE YA KUEN ME RASSI DOL GIR GAYA AUR BINA GHUSE NAHIN NIKAL SAKTA AUR PAANI BHI NAHIN KI HAATH PAIR DHOKAR GHUSE TO IS SURAT ME AGAR PAIR DAALKAR DOL RASSI NIKALEGA TO YA PAANI MUSTA'AMAL NA HOGA.

👆👆👆 Aise Mas'alon Se Bahut Kam Log Waqif Hain Khyal Rakhna Chahiye.

📃Mas'ala (20)

Musta'amal Paani Agar Achhe Paani Me Mil Jaye Jaise Wazu Karte Waqt Qatre Lote Ya Ghade Me Tapke To Agar Achha Paani Zyadah Hai To Ye Wazu Aur Gusl Ke Kaam Ka Hai Warna Sab Bekaar Ho Gaya.




📃 Mas'ala (21)

Paani Me Haath Pad Gaya Ya Aur Kisi Tarah Musta'amal Ho Gaya To Ye Chahein Ki Ye Paani Kaam Ka Ho Jaye To Achha Paani Isse Zyadah Isme Mila Dein.. Nez Iska Ye Tariqa Bhi Hai Ki Isme Ek Araf Se Paani Daalein Ki Dosri Taraf Se Bah Jaaye Sab Kaam Ka Ho Jayega.. Aise Hi Napaak Paani Ko Bhi Paak Kar Sakte Hain.

📃 Mas'ala (22)

Kisi Darakht Ya Fal(Fruit) Ke Nichode Hue Paani Se Wazu Jayez Nahin Jaise Kele(Banana) Ka Paani Ya Angoor Aur Anaar Aur Tarbuz Ka Paani Aur Ganne Ka Ras.

📃 Mas'ala (23)

Chhote Chhote Gaddhon Me Paani Hai Aur Usme Najasat Padna Maloom Nahin To Usse Wazu Jayez Hai.

📃 Mas'ala (24)

Najasat Ne Paani Ka Maza, Bou Ya Rang Badal Diya To Usko Apne Istemal Me Lana Bhi Na Jayez Aur Jaanwaro Ko Pilana Bhi Na Jayez Hai. Gaare(Mitti) Wagairah Ke Kaam Laa Sakte Hain. Lekin Us Gaare(Mitti) Ko Masjid Ke Deewar Wagairah Me Istemaal Karna Jayez Nahin.

📚 Bahare Shariat

📮 🇲AZMOON MUKAMMAL HUA ALHAMDOLILLAH




No comments:

Post a Comment

Sarkar ki Aamad Marhaba

सरकार की आमद मरहबा